Kumud Mishra Sushant Singh Rajput
Image Source - Instagram

Post Sushant Singh Rajput death, there have been many conspiracy theories surrounding his death. Some news channels have even pronounced some of the accused in the case as ‘guilty’ without any evidence. This also hints at a moral crisis that is happening in society. We recently had an interaction with Kumud Mishra where he said that we shouldn’t turn Sushant’s death into a reality show and make him a part of our gossips. He also urged people to think and then react on any issue.

The ‘Thappad’ actor said, “Ye sabse bada khatra hota hain samajh main ki humare pass kisi bhi cheez ke bare main gehrai tak jane ka sabr nahi hota hain. So hume jo information milti hain toh hum usi information pe aapni raie pesh kar dete hain aur judgement khada kar dete hain jo kisi na kisi bhi ghatne main hoti hain aur jis ghatna ki hum baat kar rahe, us mein bhi ho hi raha hain. Main usse bachna chahunga. Mujhe lagta hain ki main itna bada expert nahi hoon.”

[Advertisement]

Further adding, he said, “Ye industry ke liye bohot badi durghatna hain and dusra unke parivaar ke liye. Ek yuva abhineta ka aise guzaar jana ye kisi bhi parivaar ke liye dukhat hain. Lekin dusre din television channels unke ghar pohoch jaata hain aur woh space bhi nahi deta. Sab ek matamb ka samay dete hain par hum nahi dete hain kyunki humare liye woh samachar samajh main bhejna important hain. Par theek hain woh unki baat hain. Main chahta hoon ki hum unko reality TV na banaye. Jeevan ko jeevan ki gati main chalne de, samay de. Kuch bhi ghatna hoti hain toh hum pehle react karte hain baad main hum sochte hain. Mujhe lagta hain ulta hona chahiye. Main nahi kahungi ki jo log react kar rahe har aadmi galat hain. Jo cheez unlogon ko parosa ja raha hain, woh sachai maan ke react kar rahe hain, toh unko dosh nahi diya ja sakta. Par phir bhi mujhe lagta hain ki aab jab case CBI aur bohot sare investigative agencies ke pass hain aur aab AIIMS ki report bhi aa gayi hain, toh hume kahi na kahi kisipe bharosa rakhna chahiye aur is mudde pe jo agencies ka faisla hain uske hisab se sweekar karna chahiye. Ye Sushant ke death ke liye fair nahi hoga ki hum usko gossip ka hissa banaye. Kyunki jitna mujhe ehsaas hain woh bohot intelligent and sensitive actor tha. Usne jite ji nahi chaha ji gossip ka hissa bane, toh hum thoda sa unfair ho jayenge agar unko gossip ka hissa banayenge toh.”

We must say Kumud Mishra has very well put forward his points on the entire matter.

Also Read: On Sushant Singh Rajput’s four month death anniversary, sister Shweta deletes her Instagram and Twitter account